Sunday, December 20, 2009

Ek kavita .........Bikhri si.

Kuch likh du to dil ka gubaar hat jaaye
yaa phir kuch keh ke chup ho jaoo
kabhi ....dono ke saath hi chupchap baitha rahoo
aur dekhta rahoon tamasha

Saari bikhrati hui cheejo ka
JO jeene ke liye jaroori na hoker bhi bas aise hi
jeeye ja rehi hain

Kya karoon us sapne ka jo
Her waqt meri aakhon mein rehta hain
kahan phek aao use .......kahin door
Jo kabhi uth ker pairon se vapas naa aa sake

Ghar pe mere paas sab kuch hain
Ek kamra aur kuch deewarein hain
jinhe main apna kahne ka kiraya deta hoon

Mera apna shaher bhi hain
Jise main bhut chahta hoon
per suna hain maine ki ye shaher kabhi kisi ko
nahi chahta......

Kuch khabar sun li to dil dahel jaata hain
apni umer ka her hissa dhudhla najar ata hain
kuch tukda bikhra aur kuch kerine se saja hua

kitaabon ke panne reh reh ke ulajhte hain
kuch pal jo khayal se the unhe
yunhi kahin daba ke gumshuda sa ker diya
aur bikhri si jindagi ab bhi kagaj per ................